Aik hi dherti per kerte hain

Aik hi dherti per kerte hain , dono rain basera bhi

Neel gagen kay saiy tale gher tera bhi gher mera bhi

Rang-o-nasl ka jghra kaisa, kumba ik, qabila ik
Tere khun ka lal hay rang, vaisa hi rang mera bhi

Tera mera mazhab kaisa, piyar hi sab ka mazhab hay
Ik khuda hay tera bhi,or tera khuda hay mera bhi

kon kisi ka dost hoa, jab haat main sabke khunjer ho
Bund patari main rekhta hay apna saanp sapera bhi

Diar hoi jab burq, giri thi, abtek vehshet tari hay
Thek ker soorej, dobe ga, to chaiy ga andhera bhi

0 comments:



Post a Comment