Pakistan- Ramadan Calendar 2019 Sehr o Iftar Timings Radzan Time

Pakistan- Ramadan Calendar 2019 Sehr o Iftar Timings Radzan Time

Usski Yaadein Hain

Usski Yaadein Hain!!!

Ye Dayaar Mahr-Wo-Wafa Nahi Ye To Nafratoun Ka Dayaar Hai
Zara Paaoun Rakhna Sambhaal Kar Yahan Dushmanoun Ka Hisaar Hai
Gham-E-Ishq Hans Kar Utha Liya Jo Naseeb Me Tha Usse Paa liya
Usse Kya Sunati Mein Haal-E-Dil Woh Guloun Ke Rang Me Qaar Hai
Koi Qadar uski Nahi Yahan Jo Sharafatoun Ke Amen Hai
Wahi Sar Utha Ke Chale Yahan Jo Nigah-E-Duniya Me Khawaar Hai
Mein Gunah Ki Putli Hoon Aaye Allah Tere Hath Hai Mera Faisla
Hai Galtiyaan Meri Bhala isska Koi Shumaar Nahi
Teri Yaadoun Ko Liye Hue Mein Kahan Kahan Se Guzr Gayi
Yahi Haal Hai Meri Zeesat Ka Naa Sukoon Hai Naa Qaraar Hai
Wahi Gulistaan, Wahi Baghbaan, Wahi Badliyaan, Wahi Gham-E-Tanhaiye
Magar Aaj Yahan Koi Saaya Nahi Bass Usski YAADEIN Hain…!

0 comments:Post a Comment