Roodad-e-qafas yaad, na andaz-e-fughan yaad
jo beet gai, beet gai, ab wo kahan yaad
tum bhool gaye hum ko to kaya is main ta’ujab
iss daur main karta hai kisay, kaun kahan yaad
kafi thi tabahi ke liye gardish-e-dauran
tum aisay main kiyun aa gaye ho jaan-e-jahan yaad
apnay se raqabat ka ye alam he ke tauba
hum bhool gaye khud ko, wo aaye hain jahan yaad
maazi ke dareechay se kabhi jhank ke dekho
shayed tumhain aa jaye mera naam-o-nishan yaad
0 comments:
Post a Comment