EID Ki Dua

Chupkay say chand ki
Roshni
Choo Jaye Apko

Dheeray Say Ya Hawa
Kuch Keh
Jaye Apko

Dil Say jo Chahtay HooMaang
Lo
Khuda Say

Hum Dua Kartay Hain Mil Jaye Woo Apko
.
.
.

EID MUBARAK

Kiya jo faisla eid mubarak

Socha kisi apne se baat karun,
Apne kisi khaas ko yaad karun,

Kiya jo faisla eid mubarak kehne ka,
Dil ne kaha kyun na aap se shuruwat karun.

*EID MUBARAK*

It's so pleasant Eid

Look Outside

Its so pleasant!

Sun Smiling For you

Trees Dancing for you

Birds singing for you

Because I requested them All to wish You

**..*EID MUBARAK*..**

Eid days are meant to celebrate

Eid days are meant to celebrate
the goals and the achievements
that make you happiest.
The ideals you believe in,
the dream you love the best.

Eid is 3 meaningful words

Do you know what is the meaning of EID ?
Eid is the combination of 3 meaningful words

E - Embrace with open heart
I - Inspire with impressive attitude
D - Distribute pleasure to all

~Eid Mubarak~

Tum aao to hum bhi EID karen

Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen

Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen

Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen

Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai

Ik bar milo
Ik bar milo
Har bar ye hi taakeed karen

Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain

Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain

Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.

Mah E Ramzan Bas Alwada Hai

Alwida Alwida Alvida Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Dil Teray Aanay Say Motbar Thay,
Noor Mein Dubay Shaam O Sehar They.
Teray Anay Say Dil Ro Raha Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramazan Bass Alwida Hai.

Sehri Iftar Qir’at Tarawi,
Aur Azaan E Namazein O Tasbeeh.
Yeh Saman Noori Tujh Say Mila Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan Bass Alwida Hai.

Rehmatoon Ka Tu Pegham Laya,
Barkatoon Ka Tu Inaam Laya.
Rutba Aala O Afzal Tera Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah E Ramadhan Bas Alwida Hai.

Jaam Rehmat Kay Tunay Pilaye,
Gul Muradoon Kay Tuney Khilaye.
Tu Juda Hum Say Ab Ho Raha Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramdhan Bas Alwida Hai.

Humko Baykal Tu Paye Ga Kab Tak,
Gar Rahe Zinda Aglay Baras Tak.
Phir Milein Gay Jo Huqmay Khuda Hai
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramadhaan Bass Alwida Hai.

Chal Diya Hai Tu Jo Rab Ki Janib,
Ahl E Imaan Kay Purnam Hain Qalib.
Qalb E Ishrat Bhi Gham Say Bhara Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah E Ramazaan Bass Alwida Hai.

Humko Bekal Tu Payega Tab Tak
Gar Rahay Zinda Agle Baras Tak.
Phir Milengay Jo Huqm E Khuda Hai
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramzan Bas Alwida Hai.

Ramzan Ke Dino Main Ghar Se Main

Ramzan Ke Dino Main Ghar Se Main
Iss Liye Nahi Nikalta,
Wah Wah
Ramzan Ke Dino Main Ghar Se Main
Iss Liye Nahi Nikalta,
:
Log Roza Na Torr Dain
EID Ka Chand Samajh Kar.. :p ;-)

ALWIDA ALWIDA MAH-E-RAMZAN

**“ALWIDA ALWIDA MAH-E-RAMZAN”**
YA ALLAH…
Hum Ne Jo Rozay Rakhay,
Jo Ebadatain Ki Aur Jo Namazain Parhin,
YA ALLAH Qabool Karna.
…Aur Jo Hum Se Galatiyan Huen,
YA ALLAH Unhe Darguzar Kar Dena,
Aur Hum Sab Ko Mauf Kar Dena,
Hum Sab Ki Qayamat Ke Din Maghfirat Farmana!!
( A A M E E N )

Alwida Alwida maahe Ramadan

Alwida Alwida maahe Ramadan
Tere Ane se dil
khush howa tha

aour zoq e ibadat berrha tha
Aah!ab dil pe hai
gham ka ghalba

Alwida Alwida maahe Ramadan
~~~~~~**

A Good News 4 U..!

A Good News 4 U..!
I
Am
Coming To Meet U..
After A Few Days,
Please..
Welcome Me With Open Arms,
And Smiling Face :-)
Your’s Well Wisher,
"MAAH-E-RAMAZAN"