Main bikhar raha hoon zara zara

Mere wajood ko tu samait lay
main bikhar raha hoon zara zara
mere aansoo ko bhi ponch lay
main sisak raha hoon zara zara
meri chahton ko samajh kabhi
meri hasraton ka khayal kar
tere deedar ki ik aarzoo main
tarap raha hoon zara zara
apnay pyaarr ka ik diya meri
raah main tu jala kabhi
Andheri raat ka naag
mujhay duss raha hai zara zara

0 comments:



Post a Comment