Kuch to tanhayi ki ratoon

Kuch to tanhayi ki ratoon main sahara hota
Tum na huwe na sahi zikar tumara hota

Zindagi kitni musarat se guzari yarab
Aish ki tarah agar gham bhi gawara hota

Gham-e- ulfat jo na milta gham-e-hasti milta
Kisi surat tou zamaney main guzara hota

Kis ko fursat thi zamane k sitam sehney ki
Agar na us shoakh ki aankhon ka ishara hota

Koi humdard zamane main na paya
Dil ki hasrat hi rahi koi hamara hota

0 comments:



Post a Comment