kiya hai pyar jisey humney zindagi ki tarah

kiya hai pyar jisey humney zindagi ki tarah
wo aashna bhi mila humsey ajnabi ki tarah

kisey khabar thi barregi kuch aur taareeki
chupay ga wo kisi badli meiN chandni ki tarah

barrha ke pyaas meri usney haath choRR diya
wo kar raha tha murawwat bhi dil lagi ki tarah

sitam tou ye hai ke wo bhi na ban saka apna
qabool humney kiye jis ke gham khushi ki tarah

kabhi na socha tha humney 'Qateel' uskey liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tara

0 comments:



Post a Comment