Bahana chahiye paas aane ko

Tum kahan kho gaye, kaise gum ho gaye,
Tapti dopahar mein, barfili sard raaton me aksar yaad aate ho,
Mujse na sahi, in hawaon se keh do,
Yeh hawayein aa-kar kano mein keh dengi,
Phir laut ke aane ko majbur kar dengi,
Main laut ke aaunga tumhare paas,
Yeh bandhan prem ka hai, dosti ka hai,
Aise-kaise toot jayega,
Mana bahana chahiye paas aane ko,
Tum anna chaho ya na chaho,
main to kab se tumhare kareeb hoon,
Tum lakh koshish karo, saath na chodoonga,
Main bhi kya karoon, man hi toh hoon aakhir,
Chanchalta mera swabhav hai,
Ab ja kar sthir hua hoon jindagi ke iss padav be aa kar,
Ek aur man paaya hai, jiski chanchalta ne mujhe jagaya hai,
Man se man ka mel hai ab toh,
Kya hoga aane wala pal hi batayega,
Dekhte hai kaun kise rulayega.

0 comments:



Post a Comment