MeRa NaAm

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
Ankhein sach bolti hain pyaar chupaya na karo
Log har baat kaa afsaana banaa lete hain
Sab ko halat ki rudaad sunaya na karo
Ye zaroori nahi har shakhs masiha hi ho
Pyaar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo
Shahar-e-ehasas mein patharao bohat hain .........
Dil ko shiishe ke jharonkhon men sajaya na karo

0 comments:



Post a Comment