Tu khafa hai mujhse

Tu khafa hai mujhse lekinphir b agar ho saky,

Mere in sawalon ka jawab to de,
Humne jis main likhe thy kuch wady,
Agar mumkin hai to meri woh kitab to de,
De nahi sakta agar pyar to aisa kar,
Gham de, Zehar de, ya sharab to de,
Jis main beh jae mere dil ki dunya,
Aisa koi in aankhon main Selaab to de,
Kabhi tum kaha karet they k aap achy hain,
Ab bura he sahi magar koi khitaab to de.

0 comments:



Post a Comment