Jaane do mujhe

ab na ruk paunga mai,jaane do mujhe,
na laut ke aaunga mai,jaane do mujhe.
hans k vida karo yaaron mujhe,
apni yaadon k sahaare do mujhe.
gham pehle se bohot hai mere paas,
kuch to khushiyon k nazraane do mujhe.
na rulao mujhe na satao yaaron,
mai bhi muskuraun,aise bahaane do mujhe.
muddatt se ye aankhein nahi soyi meri,
neend aaye aise sapne suhaane do mujhe.
beeta hua kal kaala andhera tha,
beeta hua kal ab bhulane do mujhe.
koi hai jo rooth kar baitha hai duur kahin,
jaane do,aaj usey manane do mujhe.
bhool baitha tha mai alfaaz jo,
uske liye aaj gaane do mujhe.
roko na mujhe aaj vaaste dekar,
mai ruk na paunga,aaj jaane do mujhe.

0 comments:



Post a Comment